Raat Bhar Jine Se Kya Sham-e-shabistan Ki Tarah
raat bhar jine se kya sham-e-shabistan ki tarah
ek lamha hai bahut shoala-e-raqsan ki tarah
dil ke zaKHmon pe bhi phulon ka guman hota hai
yaad aai hai teri mauj-e-bahaaran ki tarah
kyun ho KHamosh rafiqan-e-chaman kuchh to kaho
subh-e-gulshan bhi na guzre shab-e-zindan ki tarah
lazzat-e-dard ko arbab-e-hawas kya jaanen
lazzat-e-dard ki arzan nahin darman ki tarah
yurish-e-dard ne pindar-e-wafa toD diya
hum bhi nadim hain bahut husn-e-pasheman ki tarah
yaad rakhega sulagta hua mahaul hamein
KHarzaron mein rahe hum gul-e-KHandan ki tarah
tab-e-KHuddar pe ek turfa sitam hai 'mohsin'
un ka andaz-e-karam ghair ke ehsan ki tarah
(770) Peoples Rate This