Jam-e-tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye
jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye
phulon ke intizar mein kanTe chubho liye
mahrumi-e-dawam bhi kya lutf de gai
ye soch kar hanse hain ki ek umr ro liye
hum hain wo sada-lauh ki pa kar raza-e-dost
KHud apne hath apne hi KHun mein Dubo liye
jis samt se bhi bang-e-jaras aai dasht mein
diwangan-e-shauq usi samt ho liye
pichhla pahar hai shab ka ki hai sham ka saman
wo kya bata sakenge jo ek nind so liye
kya jabr hai subut-e-wafa pesh kijiye
aur un ka nam aae to phir lab na kholiye
'mohsin' zaban dijiye bazm-e-KHamosh ko
mohmal hai aaj lafz-e-suKHan kuchh to boliye
(793) Peoples Rate This