Jahil Ko Agar Jehl Ka Inam Diya Jae
jahil ko agar jehl ka inam diya jae
is hadisa-e-waqt ko kya nam diya jae
maiKHane ki tauhin hai rindon ki hatak hai
kam-zarf ke hathon mein agar jam diya jae
hai KHu-e-ayazi hi sazawar-e-malamat
mahmud ko kyun tana-e-ikram diya jae
zid hai ki unhen man ke sarKHil-e-bahaaran
ghunchon ki taraf se koi paigham diya jae
hum maslahat-e-waqt ke qail nahin yaro
ilzam jo dena hai sar-e-am diya jae
behtar hai ki is bazm se uTh aaiye 'mohsin'
sarqe ko jahan rutba-e-ilham diya jae
(5670) Peoples Rate This