Hai Wajh-e-tamasha-e-jahan Dil-shikani Bhi
hai wajh-e-tamasha-e-jahan dil-shikani bhi
manzur hai ai dost! ye neze ki ani bhi
shadab daraKHton ke bhi sae hain gurezan
ek jurm hui meri gharib-ul-watani bhi
pite hi rahe gardish-e-ayyam ke hathon
sahba-e-malamat bhi gham-e-tana-zani bhi
socha tha ki us bazm mein KHamosh rahenge
mauzu-e-suKHan ban ke rahi kam-suKHani bhi
ai silsila-e-nikhat-e-gesu ke asiro!
hai ishq mein ek marhala-e-koh-kani bhi
viran jaziron ki tarah KHushk hain aankhen
bekar hai ai dard teri nala-zani bhi
ai nazish-e-sad-rang na kar un se taghaful
hai KHak-nashinon se teri gul-badani bhi
(832) Peoples Rate This