Dosto Bargah-e-qatl Sajate Jao
dosto bargah-e-qatl sajate jao
qarz hai rishta-e-jaan qarz chukate jao
rahe KHamosh to ye honT sulag uThenge
shoala-e-fikr ko aawaz banate jao
apni taqdir mein sahra hai to sahra hi sahi
aabla-pao! nae phul khilate jao
zindagi saya-e-diwar nahin dar bhi hai
zist ko ishq ke aadab sikhate jao
be-zamiri hai sar-afraaz to gham kaisa hai
apni tazlil ko mear banate jao
ai mashihao agar chaaragari hai dushwar
ho sake tum se naya zaKHm lagate jao
karwan azm ka roke se kahin rukta hai
lakh tum rah mein diwar uThate jao
ek muddat ki rifaqat ka ho kuchh to inam
jate jate koi ilzam lagate jao
jin ko gahna diya afkar ki parchhain ne
'mohsin' un chehron ko aaina dikhate jao
(832) Peoples Rate This