Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d954950a226fa833ccb4b4918618fdd0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-KHabar Sa Tha Magar Sab Ki KHabar Rakhta Tha - Mohsin Bhopali Poetry In English - Darsaal

Be-KHabar Sa Tha Magar Sab Ki KHabar Rakhta Tha

be-KHabar sa tha magar sab ki KHabar rakhta tha

chahe jaane ke sabhi aib-o-hunar rakhta tha

la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin

be-niyazana har ek dil mein guzar rakhta tha

us ki nafrat ka bhi meyar juda tha sab se

wo alag apna ek andaz-e-nazar rakhta tha

be-yaqini ki fazaon mein bhi tha hausla-mand

shab-paraston se bhi ummid-e-sahar rakhta tha

mashware karte hain jo ghar ko sajaane ke liye

un se kis tarah kahun main bhi to ghar rakhta tha

us ke har war ko sahta raha hans kar 'mohsin'

ye tassur na diya main bhi sipar rakhta tha

(1329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHabar Sa Tha Magar Sab Ki KHabar Rakhta Tha In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Be-KHabar Sa Tha Magar Sab Ki KHabar Rakhta Tha is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Be-KHabar Sa Tha Magar Sab Ki KHabar Rakhta Tha for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Be-KHabar Sa Tha Magar Sab Ki KHabar Rakhta Tha in PDF.