Satata Wo Agar Fitrat Se HaT Ke
satata wo agar fitrat se haT ke
to patthar marta main bhi palaT ke
jo main ne intizar-e-yar khincha
mera ghar ban gai duniya simaT ke
bahut kuchh hai nafas ki anjuman mein
magar main ji raha hun sab se haT ke
main un KHamoshiyon mein rah raha hun
jahan aati hain aawazen palaT ke
diye ki lau zara jo Dagmagai
zamin par aasman aaya jhapaT ke
ye sach hai main wahi hun tu wahi hai
magar ab sans le kuchh dur haT ke
guzara din mashaqqat karte karte
guzari raat patthar se lipaT ke
tere bare mein soche ja raha hun
magar ab lag rahe hain dil ko jhaTke
(601) Peoples Rate This