Sar UThaya Ishq Ne To ChoT Ek Bhaari PaDi
sar uThaya ishq ne to choT ek bhaari paDi
ja ke is ke paon 'mohsin' apni KHuddari paDi
ab jo dekha donon hi na-qabil-e-tafsir the
raat ke jage huon par raushni bhaari paDi
chahne walon ko hi hona paDa hai sangsar
zinda rahne walon par hi zindagi bhaari paDi
mere dukh ko ek hi pahlu ki lazzat thi aziz
ab jo karwaT li to mujh pe aa ke bedari paDi
wo samundar wo hawaen wo tazabzub aur wo aankh
jaan se jaane gae the aur gale yari paDi
aashna hone se pahle ajnabi-pan kha gaya
ghar se pahle raste mein ghar ki rahdari paDi
in dinon shayad main apni dastaras se dur hun
aaj to us ki nazar dil par mere kari paDi
(562) Peoples Rate This