Sailabon Ke Baad Hum Aise Diwane Ho Jate Hain
sailabon ke baad hum aise diwane ho jate hain
apne ghar se us ke ghar tak pahron dauD lagate hain
hum ne apne hath zamin mein dab rakhe hain is Dar se
dast-e-talab phailane wale diwane kahlate hain
un aankhon ki sewa kar ke hum ne jadu sikh liya
jab bhi tabiat ghabraati hai patthar ke ho jate hain
apne hijr ki baat alag hai apna ishq musalsal hai
KHud se bichhaDne lagte hain to us ke ghar ho aate hain
aadhi raat ko hasti ka mafhum samajh mein aata hai
baam-o-dar ke sannaTe jab aapas mein Takraate hain
jaane kitni gard jami ho KHadd-o-KHal pe raston ki
is Dar se hum apne ghar mein dastak de kar jate hain
ab us par ilzam rakhe ye KHalq-e-KHuda to kya kahiye
hum to us ki baaten kar ke apna dil bahlate hain
jis din us ki yaad aati hai jit si apni hoti hai
rasta rasta kucha kucha parcham se lahraate hain
pahle purwai se dil mein ek kasak si uThti thi
ab ye mausam kuchh nahin karte lekin KHwab dikhate hain
main ne apne josh mein aa kar raqs kiya tha KHud 'mohsin'
lekin meri basti wale us ka nam batate hain
(545) Peoples Rate This