Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1dfacf71ae0562cdd71833ac5e053218, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
MiTTi Ho Kar Ishq Kiya Hai Ek Dariya Ki Rawani Se - Mohsin Asrar Poetry In English - Darsaal

MiTTi Ho Kar Ishq Kiya Hai Ek Dariya Ki Rawani Se

miTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se

diwar-o-dar mang raha hun main bhi bahte pani se

be-KHabari mein honT diye ki lau ko chumne wale the

wo to achanak phuT paDi thi KHushbu raat ki rani se

wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile

pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se

duniya walon ke mansube meri samajh mein aae nahin

zinda rahna sikh raha hun ab ghar ki virani se

jaise tere darwaze tak dastak dene pahunche the

apne ghar bhi lauT ke aate hum itni aasani se

hum ko sab malum hai 'mohsin' haal pas-e-girdab hai kya

aankh ne sachche gur sikhe hain suraj ki darbani se

(535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTTi Ho Kar Ishq Kiya Hai Ek Dariya Ki Rawani Se In English By Famous Poet Mohsin Asrar. MiTTi Ho Kar Ishq Kiya Hai Ek Dariya Ki Rawani Se is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem MiTTi Ho Kar Ishq Kiya Hai Ek Dariya Ki Rawani Se for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download MiTTi Ho Kar Ishq Kiya Hai Ek Dariya Ki Rawani Se in PDF.