KHwab Ko Surat-e-haalat Bana Jata Hai
KHwab ko surat-e-haalat bana jata hai
dil ko aana ho to be-waqt bhi aa jata hai
ho ke naraaz na jae koi mehman warna
ghar se wasf-e-dar-o-diwar chala jata hai
aankh se aankh milana to suKHan mat karna
Tok dene se kahani ka maza jata hai
Thik kahte ho ki aaseb-zada hota hai ishq
mere andar bhi koi shor macha jata hai
pyar aa jae to phir pyar hi kije warna
jis tarah aata hai us tarah chala jata hai
main to har faisla hi karta hun apne haq mein
par koi adl ki zanjir hila jata hai
umr-e-rafta mein tujhe yaad kahan karta hun
bas zara yun hi tera dhyan sa aa jata hai
koi pagal mujhe kahta hai to kya hai 'mohsin'
ek pagal ko to pagal hi kaha jata hai
(440) Peoples Rate This