KHauf-zada Logon Se Rasm-o-rah BaDhate Phirte Hain
KHauf-zada logon se rasm-o-rah baDhate phirte hain
hum be-KHwabi ke mausam mein KHwab dikhate phirte hain
ban-Than kar chalte hain ghar se aur us kucha mein nahin jate
rasta rasta rahgiron se hath milate phirte hain
hum diwane hum ko yara kab hai shor machane ka
hum to apne andar ki aawaz chhupate phirte hain
logo man ka bhed na kholo lekin kuchh munh se bolo
ye sannaTe pas-e-manzar mein shor machate phirte hain
hum ne tere hijr ko aaKHir kar-e-jahan taslim kiya
duniya-dari karte hain aur dhyan baTate phirte hain
basti mein kya chiz nahin jo virane mein hoti hai
log purane ghaaron mein kyun dip jalate phirte hain
jab bhi teri yaad aati hai dil bahlana paDta hai
pahron tanha saDkon par hum gane gate phirte hain
ye aawara log nahin hain DhunD rahe hain basti ko
hum bhi tere shahr ki galiyon mein chakraate phirte hain
bin barti har chiz mein 'mohsin' ek din ghun lag jata hai
us Dar se hum apne badan ko dhup lagate phirte hain
(457) Peoples Rate This