Kar-e-asan Ko Dushwar Bana Jata Hai
kar-e-asan ko dushwar bana jata hai
wahima koi bhi ho kaam dikha jata hai
khulne lagte hain nigahon pe jab asrar-o-rumuz
dil mujhe le ke kahin aur chala jata hai
ghar mein rahna mera goya use manzur nahin
jab bhi aata hai naya kaam bata jata hai
sada rakhne se sada deta hai qirtas mujhe
lafz likh dun to meri sakh gira jata hai
ishq ne aisa banaya hai jahan-dar mujhe
har KHasara meri sochon mein sama jata hai
aao hum pahle talluq ko samajh len 'mohsin'
ranjishen hon to marasim ka maza jata hai
(490) Peoples Rate This