Hum Apne Zehn Par Pahle Use Tari Karenge
hum apne zehn par pahle use tari karenge
phir is ke baad apne qalb ko jari karenge
hum apne zahir o baatin ka andaza laga len
phir us ke samne jaane ki tayyari karenge
mohabbat hum se us ko ho gai to Thik warna
hum apni sakh rakhne ko adakari karenge
ab aisi muflisi mein kya kahin ho aana-jaana
magar kab tak hum us se uzr-e-bimari karenge
mere kis kaam ke hain ab ye kawwe aur kabutar
abas barbaad ghar ki chaar-diwari karenge
bahut achchha teri qurbat mein guzra aaj ka din
bas ab ghar jaenge aur kal ki tayyari karenge
yahan ab log 'mohsin' zindagi karte kahan hain
zara se dukh mein roenge aza-dari karenge
(426) Peoples Rate This