Der Se So Kar UThne Walo TaDpo Lekin Shor Na Ho
der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho
tum ko haq hai aainon ko toDo lekin shor na ho
ham-sae ka sukh to us ke KHwab ka pura hona hai
tum par riqqat tari ho to ro lo lekin shor na ho
sham Dhale parwaz simaT kar shaKHon par aa jati hai
apni aankhen rahguzar mein rakkho lekin shor na ho
diwane bhi ahl-e-samaat ki KHidmat kar sakte hain
dil honTon par aa jae to bolo lekin shor na ho
'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aae yahan
apne but ko apne hath se toDo lekin shor na ho
(510) Peoples Rate This