Shaer
jhuThe shaer ye ghaur se sun len
shairi sab ke bas ki baat nahin
ye wo ilham hai ke jis ke liye
rab hi chunta hai apne bandon mein
aise bandon ko jin ke sine mein
dard hota hai sare aalam ka
jo mohabbat ki baat karte hain
jo uKHuwwat ki baat karte hain
jo sadaqat ki baat karte hain
zulm ke samne khaDe ho kar
jo baghawat ki baat karte hain
muflison aur gham ke maron ki
jo himayat ki baat karte hain
na-ummidi ke ghup andheron mein
jo diye aas ke jalate hain
bughz rakhte nahin jo sine mein
dushmanon ko gale lagate hain
sare aalam mein amn ki KHatir
raat-din KHun-e-dil jalate hain
jin ko shohrat ki aas hoti nahin
jin ko daulat ki aas hoti nahin
shan-o-shaukat ki aas hoti nahin
jo qalandar ki tarah jite hain
jo faqiron ki tarah rah kar bhi
baadshahon ki tarah jite hain
jhuThe shaer ye ghaur se sun len
shair-e-be-nawa ke sine par
sher utarte hain aayaton ki tarah
(598) Peoples Rate This