Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a43124f0df3b3b7bdd3047755343b953, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Use Rok Na Paya - Mohsin Aftab Kelapuri Poetry In English - Darsaal

Main Use Rok Na Paya

main use rok na paya

wo mujhe chhoD gaya

jhaDti sanso ka use main ne hawala bhi diya

sard hoti hui nabzen bhi use pakDain

us ne KHak hote hue KHwahishen meri dekhin

mere KHwabon ka nagar luTte hue bhi dekha

meri aankhon ke baraste hue baadal dekhe

mere galon pe chamakte hue ashkon ke sitare dekhe

KHushk hote hue honTon ko taDapta dekha

jalti bujhti hui aahon ne duhai bhi di

main ne sau tarah se chaha ki use rokun

magar

main use rok na paya

wo mujhe chhoD gaya

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Use Rok Na Paya In English By Famous Poet Mohsin Aftab Kelapuri. Main Use Rok Na Paya is written by Mohsin Aftab Kelapuri. Read famous Poem Main Use Rok Na Paya for youth and Student by Mohsin Aftab Kelapuri. Free Download Main Use Rok Na Paya in PDF.