Talluqat Ki Duniya Ka Haal Kya Kahiye
talluqat ki duniya ka haal kya kahiye
ki marna sahl hai jina muhaal kya kahiye
unhen jo raaziq-e-kul ko bhula ke karte hain
gadagaran-e-zaman se sawal kya kahiye
adab ki mahfilon aur din ki majalis mein
na kaif-e-haal na lutf-e-maqal kya kahiye
hasin aaj utar aae husn-bazi par
ye josh-o-tarz-e-numud-e-jamal kya kahiye
haram ho gai angur-o-jau ki sada kashid
lahu gharib ka Thahra halal kya kahiye
fasana-sazo haq-amoz-o-jabir-o-rahman
hai pur-tazad bashar ka kamal kya kahiye
bas ek naqsh hai charbe usi ke uThte hain
fasana-ha-e-uruj-o-zawal kya kahiye
tamam chizen haDapne ke baad bhi bhuki
siyasat aisi hai lanat-maal kya kahiye
mizaj-e-dahr hai goya mizaj aurat ka
abhi hai amn bhi jang-o-jidal kya kahiye
tamam chizen farawan bhi hain garan bhi hain
hai ek sidq-o-sadaqat ka kal kya kahiye
adib-o-naqid-o-naqqash-o-ahl-e-raqs-o-ghina
chalen KHushi se hukumat ki chaal kya kahiye
(611) Peoples Rate This