Asiri Mein Tabahi Raunaq-e-kashana Ho Jae
asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae
qafas hi nalon se jal kar charagh-e-KHana ho jae
taghaful sazgar-e-shauq-e-ahl-e-dard kya hoga
ada se do fareb aisa ki dil diwana ho jae
na kahna ghair se qasid ki main matlab nahin samjha
payam-e-yar hai hai mani-e-begana ho jae
nahin kyun hazrat-e-musa ki betabi ke ham-pairaw
ki raaz-e-dil zaban par aae aur afsana ho jae
kahan tak zabt-e-be-tabi dil-e-miskin mujhe Dar hai
teri KHu-e-tahammul se wo be-parwa na ho jae
fughan karte hue ja pahuncho us ki bazm-e-ishrat mein
kabhi to ai 'zaki' ye shoKHi-e-rindana ho jae
(635) Peoples Rate This