Na Di Angrez Ne Ghaalib Ko Pension
bahut hun jaan se bezar yaro
hui talim dil par bar yaro
mujhe banna nahin fankar yaro
surayya se hai mujh ko pyar yaro
mujhe karni hai dil ki baat meintion
attention ai dil-e-nadan attention
hai bhautik-shastr mein ek chiz light
karen gar tajraba jati hai sight
ajab hoti hai kuchh rangon mein fight
ki mil kar sat ho jate hain white
mangao magnet dekho detention
attention ai dil-e-nadan attention
chalo ab period mehndi ka aaya
kahin darshan kahin rupak ki chhaya
guru ne sorTha jam kar paDhaya
hamari to samajh mein kuchh na aaya
'kabir' aur 'sur' mein rahta hai tension
attention ai dil-e-nadan attention
har ek science ka chhika gaDant hai
baDa dushman mere ji ka gaDant hai
tap-e-diq ka naya Tika gaDant hai
namak bilkul nahin phika gaDant hai
baDha jata hai har step pe tension
attention ai dil-e-nadan attention
hai urdu ka bhi lamba pir saqi
banati hai haram ko dair saqi
kahin 'momin' ka zikr-e-KHair saqi
kahin 'nasiKH' ki haalat ghair saqi
na di angrez ne 'ghaalib' ko pension
attention ai dil-e-nadan attention
(601) Peoples Rate This