Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_71332e7b241953b235e67285e8d4b0d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Ko Dekhe Jo Aankh Wala Ho - Mohammad Yusuf Papa Poetry In English - Darsaal

Hum Ko Dekhe Jo Aankh Wala Ho

hum sada Dafliyan bajate hain

sari duniya ko warghalate hain

aur sab ko chughad banate hain

ghaib ki baat hum batate hain

munfarid aur be-badal hain hum

han miyan intellectual hain hum

Tang girne se TuT jae to

aankh mirchon se phuT jae to

aql ka sath chhuT jae to

sar pe dasan ka boot jae to

hum atarid wahin aur zohal hain hum

han miyan intellectual hain hum

apni bhonDi KHirad ko bahlaen

KHub sabun se us ko nahlaen

pyar se us ki piTh sahlaen

aur sahil pe us ko Tahlaen

sar-ba-sar aql ka KHalal hain hum

han miyan intellectual hain hum

hum ki bas ek waqt khate hain

shaal kashmir se mangate hain

shawe KHud hath se banate hain

chae main kuchh nahin milate hain

be-muhaba hain bar-mahal hain hum

han miyan intellectual hain hum

dosto munh hamara kala ho

gar kabhi sar mein tel Dala ho

ya kahin chaal ko sambhaala ho

hum ko dekhe jo aankh wala ho

ba-in-andaz ba-amal hain hum

han miyan itellectual hain hum

hum ki sukhe hue shajar ki tarah

ek uljhi hui nazar ki tarah

saKHt sukhi hui maTar ki tarah

kisi mashuq ki kamar ki tarah

jis mein pani nahin wo nal hain hum

han miyan intellectual hain hum

hum hain expert chaalbazi mein

doctor jazba-e-majazi mein

dastaras hum ko dil-nawazi mein

aur ma hain jalsazi mein

maddi ilm ka jabal hain hum

han miyan intellectual hain hum

kaam karte nahin akaDte hain

baat be-baat hum jhagaDte hain

hath munh dho ke pichhe paDte hain

raste hi mein dhar pakaDte hain

do-piyaza hain birbal hain hum

han miyan intellectual hain hum

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Dekhe Jo Aankh Wala Ho In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Papa. Hum Ko Dekhe Jo Aankh Wala Ho is written by Mohammad Yusuf Papa. Read famous Poem Hum Ko Dekhe Jo Aankh Wala Ho for youth and Student by Mohammad Yusuf Papa. Free Download Hum Ko Dekhe Jo Aankh Wala Ho in PDF.