Buqraat Bahut Khata Tha
hum ne mahbub ke aiwan mein ja kar dekha
chin mein misr mein iran mein ja kar dekha
rus mein sham mein sudan mein ja kar dekha
aur phir KHana-e-sultan mein ja kar dekha
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
jab hui KHushk to mahbub ki kakul ne kaha
wo jo maike gain un se yahi babul ne kaha
okhle walon se jamuna ke nae pul ne kaha
aur sunte hain ki babbu se ye abdul ne kaha
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
roTiyan baiTh ke hotel mein pakata hai koi
madrase mein koi paDhta hai paDhata hai koi
apni Dholak liye darbar mein gata hai koi
aur Dafli sar-e-bazar bajata hai koi
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
tujh ko fursat hi nahin apne jahan se mahbub
tu nikalta hai kabhi apne makan se mahbub
phir ye ilham hua tujh ko kahan se mahbub
main ne akasr ye suna hai teri man se mahbub
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
faqa kar ke na buDhape mein jawani Dalo
peT mein pahle mere kuchh to bhawani Dalo
phir gale mein mere ulfat ki nishani Dalo
ghee mere khane mein kuchh aur mamani Dalo
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
khane pine se jo mohlat kabhi pa jata tha
har moarriKH sar-e-tariKH pe farmata tha
wo arastu ho ki buqraat bahut khata tha
aur phir raat ko akasr yahi barraata tha
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
(572) Peoples Rate This