Abhi Bhuk Se Ek Chuha Mara Hai
murawwat hai dil mein na pas-e-wafa hai
na tirchhi hain nazren na banki ada hai
jawani musibat buDhapa bala hai
laDakpan ko dekho to murjha gaya hai
girani se duniya ko bawar hua hai
ki apne zamane ka hafiz KHuda hai
na maTke mein aaTa na Dibbon mein dalen
batae koi log kis ko paka len
ye farman hakim hai kis tarah Talen
kaha hai gharibon se angur kha len
patili hai KHali wahan kya dhara hai
abhi bhuk se ek chuha mara hai
namak par musibat masalon pe aafat
qayamat hai indhan pe dalon pe aafat
baDa gosht mahnga piyalon pe aafat
girani hui jine walon pe aafat
bacha hai to aafat se baniya bacha hai
sar-e-am sab ki girah kaTta hai
sunata hun kapDon ki uryan kahani
miyan bhaw par aa gai hai jawani
dukan mein gae to hue aan-jahani
guzarne laga hai mere sar se pani
ki khaddar bhi mahnga bahut ho chuka hai
rebate us pe das fisadi rah gaya hai
na kapDa na roTi na loTa na dhoti
pareshan hai pota bilakti hai poti
ki qimat mein gandum ka dana hai moti
ye mumkin nahin tha wiladat na hoti
har ek samt koh-e-nida chiKHta hai
jo paida hua mubtala-e-bala hai
zamana pareshan hai mahngaiyan hain
pareshan hasinon ki angDaiyan hain
na sehre na mehndi na shahnaiyan hain
dukan-dar lekin baDe kaiyan hain
jo ration mein paya mayassar hua hai
na jaane is aaTe mein kya kya mila hai
(841) Peoples Rate This