Wada Gar Rose Kiye Jaiyega
wada gar rose kiye jaiyega
rose samjhunga ki aaj aaiyega
jaan ka gham nahin gham ye hai ki aap
qatl kar ke mujhe pachhtaiyega
main bhi hun hazrat-e-naseh dana
kuchh samajh kar mujhe samjhaiyega
laghar itna hun ki hun ghar mein magar
mere ghar mein na mujhe paiyega
tum nahin qaul-o-qasam ke sachche
jhuT kahta hun qasam khaiyega
dar pe rahne ki ijazat de kar
kahte hain panw na phailaiyega
kya hai jo kahte ho mutrib se tum aaj
koi 'nazim' ki ghazal gaiyega
(505) Peoples Rate This