Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fcbb295dd23df6ec8ca32558a4b419f3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Hi Diwana Sahi Log To Farzane Hain - Mohammad Yaqoob Aasi Poetry In English - Darsaal

Main Hi Diwana Sahi Log To Farzane Hain

main hi diwana sahi log to farzane hain

kyun haqaeq mein mila dete ye afsane hain

ek lamhe ko nigah aur taraf bhaTki thi

warna hum sirf teri did ke diwane hain

jis ne dekha na use hosh raha tan-man ka

teri aankhen hain ki jadu hain ki mai-KHane hain

dil mein wo kuchh hai ki lafzon mein ada ho na sake

wo samundar to ye TuTe hue paimane hain

ek wo log ki sahraon ko raunaq baKHshen

ek hum hain ki bhare shahr bhi virane hain

wo bhi din the jo kiya karta tha KHud se baaten

aaj 'asi' ke baDe logon se yarane hain

(572) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Hi Diwana Sahi Log To Farzane Hain In English By Famous Poet Mohammad Yaqoob Aasi. Main Hi Diwana Sahi Log To Farzane Hain is written by Mohammad Yaqoob Aasi. Read famous Poem Main Hi Diwana Sahi Log To Farzane Hain for youth and Student by Mohammad Yaqoob Aasi. Free Download Main Hi Diwana Sahi Log To Farzane Hain in PDF.