Jaane Chali Hai Kaisi Hawa Sare Shahr Mein

jaane chali hai kaisi hawa sare shahr mein

sochen huin saron se juda sare shahr mein

meri har ek arz hai na-mo'tabar yahan

us ka har ek hukm rawa sare shahr mein

sargoshiyan hain aur jhuke sar hain KHauf hai

sahmi hui hai KHalq-e-KHuda sare shahr mein

badli meri nigah ki chehre badal gae

koi bhi mo'atabar na raha sare shahr mein

pindar qaisari pe jo zarb ek lagi to phir

kandhon pe koi sar na raha sare shahr mein

KHamosh ho gae hain mere sare ham-nawa

zinda hai ek meri sada sare shahr mein

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Chali Hai Kaisi Hawa Sare Shahr Mein In English By Famous Poet Mohammad Yaqoob Aasi. Jaane Chali Hai Kaisi Hawa Sare Shahr Mein is written by Mohammad Yaqoob Aasi. Read famous Poem Jaane Chali Hai Kaisi Hawa Sare Shahr Mein for youth and Student by Mohammad Yaqoob Aasi. Free Download Jaane Chali Hai Kaisi Hawa Sare Shahr Mein in PDF.