Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_80110322be050848b03d24840ce0fbd6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hujum-e-gham Se Masarrat Kashid Karte Hain - Mohammad Yaqoob Aasi Poetry In English - Darsaal

Hujum-e-gham Se Masarrat Kashid Karte Hain

hujum-e-gham se masarrat kashid karte hain

ki hum to zahar se amrit kashid karte hain

unhon ne pal rakhe hain zamane-bhar ke gham

mere lahu se jo ishrat kashid karte hain

hamari fikr abhi qaid hai zawahir mein

hum apne kaam se shohrat kashid karte hain

sadaen hum ne suni hain jo shahr mein un se

ek ek lafz baghawat kashid karte hain

main un ko dekh ke hairat mein gharq hun 'asi'

wo mere haal se ibrat kashid karte hain

(597) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hujum-e-gham Se Masarrat Kashid Karte Hain In English By Famous Poet Mohammad Yaqoob Aasi. Hujum-e-gham Se Masarrat Kashid Karte Hain is written by Mohammad Yaqoob Aasi. Read famous Poem Hujum-e-gham Se Masarrat Kashid Karte Hain for youth and Student by Mohammad Yaqoob Aasi. Free Download Hujum-e-gham Se Masarrat Kashid Karte Hain in PDF.