Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7a0df36210a5c1d3765c9a7b61b02a05, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Hazaron Dil-e-hazin Tanha - Mohammad Yaqoob Aasi Poetry In English - Darsaal

Gham Hazaron Dil-e-hazin Tanha

gham hazaron dil-e-hazin tanha

bojh kitne hain aur zamin tanha

bas gae yar shahr mein ja kar

rah gae dasht mein hamin tanha

apne pyaron ko yaad karta hai

aadmi ho agar kahin tanha

teri yaadon ka ek hujum bhi hai

aaj ki raat main nahin tanha

wo kisi bazm mein na aaega

gosha-e-dil ka wo makin tanha

karobar-e-hayat ka hasil

ek daulat hi to nahin tanha

dil na ho gar namaz mein hazir

hai abas sajda-e-jabin tanha

mere arham kabhi to is dil mein

ho tera KHauf-e-jaguzin tanha

mera saman-e-aKHirat maula

chashm-e-nadim ka ek nagin tanha

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Hazaron Dil-e-hazin Tanha In English By Famous Poet Mohammad Yaqoob Aasi. Gham Hazaron Dil-e-hazin Tanha is written by Mohammad Yaqoob Aasi. Read famous Poem Gham Hazaron Dil-e-hazin Tanha for youth and Student by Mohammad Yaqoob Aasi. Free Download Gham Hazaron Dil-e-hazin Tanha in PDF.