Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani
makan mera azal se DhunDhti phirti thi virani
nihayat shauq se ki dil ne ranj-o-gham ki mehmani
qarar us ko nahin milta singhaar us ka nahin banta
mere dil se tere gesu ne sikhi hai pareshani
KHata-e-fash hai hum ne jafa ko kyun jafa samjha
qayamat tak na jaegi hamari ye pashemani
bataen kya tumhaari ek nahin se hum pe kya guzri
umiden thin hazaron hae jin par phir gaya pani
adu ke qaul ki tum ne hamesha pasdari ki
hamari baat lekin aaj tak ek bhi nahin mani
nazar aata hai aasan sab jise dushwar kahte hain
tariq-e-ishq mein har ek dushwari hai aasani
maza deta nahin 'hafiz' ruKH-o-gesu ka nazzara
misal-e-aina jab tak na ho aankhon mein hairani
(506) Peoples Rate This