Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein
har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-dota mein
samjhata hun kam-baKHt na paD ja ke bala mein
dekho na kabhi KHu-e-sitam apni badalna
milta hai maza hum ko bahut jaur-o-jafa mein
kis lutf se ayyam guzarte hain hamare
din nala-o-fariyaad mein shab aah-o-baka mein
miTTi hui barbaad tere ishq mein aisi
kuchh KHak ke zarre nazar aate hain hawa mein
kyun chal diye mai-KHane se ai shaiKH Thaharna
poshida nazar aata hai kuchh aaj aba mein
kahti hai ye tauba ki gunahgar main behtar
ai dil kabhi bhule se bhi paDna na riya mein
kar dun shab-e-furqat ka bayan hashr mein lekin
Darta hun tawalat na paDe roz-e-jaza mein
marna jise kahte hain wo hai zist ka aaghaz
milti hai baqa sab ko isi rah-e-fana mein
kis ke liye allah ne jannat ko banaya
bande to yahan rahte hain har waqt KHata mein
maqbul hui hashr mein gar meri KHajalat
mil jaegi jannat bhi gunahon ki saza mein
waiz kahe kuchh bhi hamein malum hai yarab
sau KHuld hain poshida teri ek raza mein
hil jati hai duniya meri fariyaad se 'hafiz'
tasir ghazab ki hai meri aah-e-rasa mein
(538) Peoples Rate This