Darta Hun Arz-e-haal Se Dhoka Na Ho Kahin
Darta hun arz-e-haal se dhoka na ho kahin
wo ruTh jaen aur bhi aisa na ho kahin
kab tak talash dil ki karun aur kahan kahan
zulfon mein dekh lijiye uljha na ho kahin
qasid mere makan ki taraf se gaya jo aaj
hota hai shak mujhe ki bulaya na ho kahin
ho jae jal ke KHak na KHud ye mera wajud
Darta hun aah ka asar ulTa na ho kahin
dil le ke apne pas bulaen wo kis liye
ye bhi to sochte hain taqaza na ho kahin
ai shaiKH teri baat ka kya e'tibar ho
parde mein is aba ke bhi duniya na ho kahin
muddat hui ki dil ko qarar-o-sukun nahin
phirta hai jaise is ka Thikana na ho kahin
un ka mariz-e-gham hai kai din se jaan-ba-lab
wo dil mein sochte hain bahana na ho kahin
ku-e-butan mein tera guzar hai jo bar bar
ai dil tu aisi baaton se ruswa na ho kahin
'hafiz' ki chashm-e-tar pe nazar chahiye zarur
ye tar-e-ashk dekhiye dariya na ho kahin
(590) Peoples Rate This