Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha
ye mohabbat ka sila tha ishq ka anjam tha
phul ka hansna hi us ki maut ka paigham tha
gham na dete aap to rahat se kis ko kaam tha
zindagi ki gardishon ke sath daur-e-jam tha
Thokaren khate gae lab par tumhaara nam tha
hashr ka manzar tha rah-e-ishq mein jo gam tha
aap kyun aansu bahaen mere haal-e-zar par
ishq ka nikla wahi anjam jo anjam tha
ban gaya har sans qatil ranj hai to bas yahi
zindagi ne mar Dala maut par ilzam tha
tha tumhaare samne be-kaif rang-e-gulistan
dida-e-nargis to kahne ko chhalakta jam tha
dekhne wale kahenge meri barbaadi ka haal
aashiyana jal raha tha main asir-e-dam tha
girya-e-shabnam se aati hai gulon mein tazgi
mera rona bhi kisi ke aish ka paigham tha
barq ke kya hath aaya kya mila sayyaad ko
chaar tinkon ke na rahne se chaman badnam tha
jalne wala hi samajh sakta hai dil ki aag ko
hijr mein 'arif' mera hamdam charagh-e-sham tha
(782) Peoples Rate This