Tasawwur Mein Ye Kaun Aaya Zaban Par Kis Ka Nam Aaya
tasawwur mein ye kaun aaya zaban par kis ka nam aaya
nashat-e-ruh ka har ek nafas le kar payam aaya
wafur-e-be-KHudi mein ek aisa bhi maqam aaya
na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya
aqidat se jabin jhuk jhuk gai rah-e-mohabbat mein
jahan un ka KHayal aaya jahan un ka maqam aaya
zamane ko to duniya-bhar ki KHushiyan baKHsh din tu ne
mere hisse mein aaya bhi to soz-e-na-tamam aaya
raha kuchh hosh bhi baqi to un ke husn-e-zeba ka
agar aaya to lab par be-KHudi mein un ka nam aaya
gham-e-dauran gham-e-duniya gham-e-hasti ghalat Thahre
jahan ki gardishen Thahrin jahan gardish mein jam aaya
nigahon par jamal-e-dost parda ban ke chhata hai
sambhalna dekhna 'arif' baDa mushkil maqam aaya
(573) Peoples Rate This