Rah Gai Wo Nigah-e-naz Qalb O Jigar Mein BaiTh Kar
rah gai wo nigah-e-naz qalb o jigar mein baiTh kar
dil mein latif si KHalish aankh hai aansuon se tar
raat ki nind uD gai din ka sukun luT gaya
teri nigah-e-naz ne kar diya dil pe kya asar
sun na sake usi ko wo kah na saka usi ko main
aish ki dastan mein jo haal tha gham ka muKHtasar
shaKH se gul jo gir paDa dil se laga ke rakh liya
daur-e-KHizan bhi dekh lun phul chune hain umr bhar
koi agar nihaal hai koi KHarab-haal hai
zarf ke sath sath hai un ki nigah ka asar
rang-e-chaman ko dekh kar 'arif'-e-KHasta-dil ye kya
phulon pe hai kabhi nazar kanTon pe hai kabhi nazar
(500) Peoples Rate This