Mujh Par Teri Nazron Ka Jo Ehsan Nahin Hota

mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

hathon se mere chaak gareban nahin hota

KHali kabhi kanTon se gulistan nahin hota

kanTon se kabhi phul pareshan nahin hota

kuchh dard ho kuchh soz ho kuchh nur ho dil mein

bas KHak ka putla hi to insan nahin hota

ai dost samajhta hun teri pursish-e-gham ko

baaton se kabhi dard ka darman nahin hota

kyun us ko mere chaak-e-gareban ki KHabar ho

gesu bhi kabhi jis ka pareshan nahin hota

ai barq-e-jahan-soz tujhe ye bhi KHabar hai

aashiq ka nasheman kabhi viran nahin hota

har phul ko dekhun ye hai aawara-nigahi

har naqsh mein to jalwa-e-jaanan nahin hota

mamnun-e-karam ek zamana hai hamein kya

hum par to kabhi aap ka ehsan nahin hota

khulta hai koi raaz-e-nihan dekh chaman mein

ghunchon ka yunhi chaak gareban nahin hota

phulon se bahal jaun wo diwana nahin hun

kanTon se ulajhne ko to daman nahin hota

maujon ko bana leta hun main apna safina

tufan bhi mere samne tufan nahin hota

main jin pe fida hun wahi jalwe hain nazar mein

aaina tujhe dekh ke hairan nahin hota

kis manzil-e-dushwar mein hun ishq ki 'arif'

un se bhi mere dard ka darman nahin hota

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Par Teri Nazron Ka Jo Ehsan Nahin Hota In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. Mujh Par Teri Nazron Ka Jo Ehsan Nahin Hota is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem Mujh Par Teri Nazron Ka Jo Ehsan Nahin Hota for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download Mujh Par Teri Nazron Ka Jo Ehsan Nahin Hota in PDF.