Isi Surat Se Taskin-e-dil-e-nashad Karte Hain
isi surat se taskin-e-dil-e-nashad karte hain
abhi tak yaad aate ho abhi tak yaad karte hain
tabahi par hamari shikwa-e-sayyaad karte hain
chaman mein hain kuchh aise bhi jo hum ko yaad karte hain
mohabbat nam hai us ka talluq nam hai us ka
na hum aazad hote hain na wo aazad karte hain
wafa ka nam jab uTh jaega bedard duniya se
wo roenge bahut hum ko jo ab barbaad karte hain
zamane se nirala hai karam sayyaad-o-gulchin ka
jala kar aashiyan kahte hain ab aazad karte hain
qafas hi ab nasheman hai qafas hi sahn-e-gulshan hai
asiron se kaho kyun minnat-e-sayyaad karte hain
samajh rakkha hai bazicha unhon ne dil ki duniya ko
kabhi aabaad karte hain kabhi barbaad karte hain
kabhi apna samajh kar jin ko sine se lagaya tha
ajab aalam hai 'arif' wo hamein barbaad karte hain
(559) Peoples Rate This