Husn-o-ulfat Sath Hain Aaghaz Se Anjam Tak
husn-o-ulfat sath hain aaghaz se anjam tak
mera afsana suna jaega tere nam tak
zindagi ki talKHiyan hain gardish-e-ayyam tak
lala-o-gul ka tabassum hai chaman mein sham tak
kya KHabar parda-ba-parda kitne jalwe hain nihan
chashm-e-zahir-bin ne dekha un ko husn-e-am tak
jin ke paimane bhare hain un pe kya tera karam
lutf to saqi hai jab bhar jaen KHali jam tak
jis ne jine ka irada kar liya wo ji gaya
us se katra kar chali hai gardish-e-ayyam tak
ban gae shaiKH-o-barahman malik-e-dair-o-haram
faiz-e-mai-KHana magar jari hai KHas-o-am tak
sans lena to nahin koi dalil-e-zindagi
zindagi kaisi nahin ab zindagi ka nam tak
husn ki pahli nazar hi dil ki duniya kho gai
luT gae aaghaz mein dekha nahin anjam tak
ab to saqi azmat-e-mai-KHana tere hath hai
gardish-e-ayyam aa pahunchi hai daur-e-jam tak
mai-kada ka haal kuchh ho chashm-e-saqi kuchh kahe
hai surahi tak nazar 'arif' kisi ki jam tak
(633) Peoples Rate This