Dekha Tha Kis Nazar Se Tumne Hansi Hansi Mein
dekha tha kis nazar se tum ne hansi hansi mein
ek dard-e-mustaqil hai ab meri zindagi mein
kaba bhi but-kada bhi hai rah-e-bandagi mein
ye manzilen hain kaisi dushwar aashiqi mein
ai dost yaad un ki ab tak rula rahi hai
do din jo mil gae the hansne ko zindagi mein
ek baat par hamari uljhan mein paD gae tum
duniya na jaane kya kya karti hai dosti mein
jab hosh mein raha main chhupte rahe wo mujh se
parde haTa diye sab dekha jo be-KHudi mein
ai meri sham-e-furqat yun dil nahin bahalta
kuchh aur raushni kar taron ki raushni mein
manzil pe mujh ko la kar daman jhaTak rahe ho
yaad aaega mujhe ye ehsan zindagi mein
daur-e-KHizan se ab to bahla raha hun dil ko
kanTon mein phans gaya hun phulon ki dosti mein
tu un ke samne ho wo tere samne hon
aisa bhi ek sajda 'arif' ho be-KHudi mein
(604) Peoples Rate This