Baqi Hai Wahi ShoKHi-e-guftar Abhi Tak
baqi hai wahi shoKHi-e-guftar abhi tak
diwane pahunchte hain sar-e-dar abhi tak
sar par hai bahaaron ke mere KHun ka sahra
aaluda lahu se hain gul o KHar abhi tak
aazadi-e-kaamil ke tasawwur mein hai insan
apne hi KHayalon mein giraftar abhi tak
gate hain uKHuwwat ke tarane to shab o roz
barbaadi-e-alam ko hain tayyar abhi tak
begana bane lakh mohabbat se zamana
hai jins-e-garan-maya tera pyar abhi tak
hoti hai KHayalon hi mein tanzim chaman ki
kirdar hi badle hain na guftar abhi tak
masum hai masum bahut amn ki dewi
qabze mein liye KHanjar-e-KHun-KHar abhi tak
'arif' ye zamana to badalna hi paDega
uTTho bhi hai is ki wahi raftar abhi tak
(592) Peoples Rate This