Bahr-e-hasti Se Bhi Ji Ghabra Gaya
bahr-e-hasti se bhi ji ghabra gaya
be-kasi bas ab kinara aa gaya
kam hua karte hain aise KHush-nasib
tujh pe mar kar jin ko jina aa gaya
mera miT jaana tamasha tha koi
aap se ye kis tarah dekha gaya
dukh bure dil ki kahani kuchh na puchh
phul ke hansne pe rona aa gaya
subh karna sham-e-gham ka al-aman
shama ko danton pasina aa gaya
KHush raho tum chal basa bimar-e-gham
umr-bhar ki uljhanen suljha gaya
rah-e-ulfat mein hai marna zindagi
dard manzil tak mujhe pahuncha gaya
mausam-e-gul bhi hai aankhon mein KHizan
dil hi kya baiTha chaman murjha gaya
wo hue kya aankh se 'arif' nihan
sari duniya mein andhera chha gaya
(698) Peoples Rate This