LaKHt-e-jigar
raat ek teacher ke ghar laKHt-e-jigar paida hua
wan bajae shad-kaami shor-o-shar paida hua
sath bar-KHurdar ke rota tha us ka bap bhi
ro ke kahta tha kahan o be-KHabar paida hua
main muKHalif man muKHalif aur hukumat bhi KHilaf
dushman-e-mansuba-bandi! tu magar paida hua!
main to paidawar hun saste zamane ki miyan
tu bata is daur mein kya soch kar paida hua
daur-e-jamhuri mein bangladesh jaana tha tujhe
aksariyyat chhoD kar zalim idhar paida hua
man teri nargis jise kahte hain roi bhi nahin
tu chaman mein kis tarah ai dida-war paida hua
tu mere haq mein hai KHwaja-dil-mohammad ka sawal
hal na hoga umr bhar go muKHtasar paida hua
is dafa bachcha samajh kar chhoDe deta hun tujhe
mar Dalunga agar bar-e-digar paida hua
(862) Peoples Rate This