BaiThe Hain
jo mai-KHane mein saqi ki jagah KHarkar baiThe hain
to masjid mein bhi maulana azabunnar baiThe hain
KHudawanda ye tere sada-dil bande kahan jaen
yahan laTh-mar baiThe hain wahan laTh mar baiThe hain
ye maktab hai yahan tiflan-e-dil-afgar baiThe hain
hazaron bar uTThe hain hazaron bar baiThe hain
talash-e-ilm ki aisi saza di hai moallim ne
nahin uThne ki taqat kya karen na-chaar baiThe hain
club hai is mein kuchh KHuban-e-KHushbu-dar baiThe hain
KHuda rakkhe farangi daur ke aasar baiThe hain
gunah-e-ba-saliqa kar ke kahte hain ye aapas mein
ghanimat hai ki ham-surat yahan do chaar baiThe hain
ye daftar hai yahan afsar bane talwar baiThe hain
bichaare matahat chaqu pe rakhe dhaar baiThe hain
sahar se sham tak chalti rahi hai chae par chae
na ye be-kar baiThe hain na wo be-kar baiThe hain
(741) Peoples Rate This