Tu Nahin To Zindagi Aazar Hai Tere Baghair
tu nahin to zindagi aazar hai tere baghair
zindagi zinda-dili par bar hai tere baghair
zindagani se kise inkar hai tere baghair
zindagani hai magar bekar hai tere baghair
aa ki paiham ab ye haal-e-zar hai tere baghair
har-nafas ek tez-rau talwar hai tere baghair
nang ho kyun kar na mere waste duniya meri
zindagi meri mujhe KHud aar hai tere baghair
aa tujhe meri qasam mushkil meri aasan kar
zist ka har marhala dushwar hai tere baghair
puchhte hain log mujh se meri KHamoshi ka haal
be-zabani mein meri guftar hai tere baghair
lamha lamha hai kisi ka be tere suhan-e-ruh
lamhe lamhe se koi bezar hai tere baghair
wasta tujh ko masihai ka teri jald aa
naza ke aalam mein ek bimar hai tere baghair
fasl-e-gul sab ki nazar mein hai magar mere liye
ek KHizan mein aalam-e-gulzar hai tere baghair
ye baja har gul hai wajh-e-zinat-e-gulshan magar
meri duniya-e-nazar mein KHar hai tere baghair
nur se mamur hai har gul ba-sahn-e-bostan
qatra-e-shabnam nazar mein tar hai tere baghair
ye bahaaran ye shabab sabza-e-nau-ras na puchh
bagh kya hai madin-e-zangar hai tere baghair
is faza-e-abr mein ghusl-e-hawai ki qasam
mauja-e-baad-e-saba aazar hai tere baghair
aa ki ye kali ghaTa ab tere gesu ki qasam
ek bala si bar-sar-e-kohsar hai tere baghair
(520) Peoples Rate This