Shuur-e-hosh Se Begana Kah Diya Hota
shuur-e-hosh se begana kah diya hota
zara si baat thi diwana kah diya hota
hui ye KHair na dekha meri taraf warna
nigah-e-shauq ne afsana kah diya hota
agar na hotin in aankhon ki mastiyan maKHsus
to aam logon ne mai-KHana kah diya hota
kaha har ek ne mujh ko tumhaara diwana
kabhi to tum ne bhi diwana kah diya hota
mere sabab se zamane ka kyun liya ilzam
hai aadmi koi diwana kah diya hota
ye waqia hai agar shahr mein na hote tum
to main ne shahr ko virana kah diya hota
na baDhti baat mohabbat mein is qadar 'saib'
jo us ne apnon mein begana kah diya hota
(520) Peoples Rate This