Kahan Ye Os Nahin Aaftab Ki Zad Mein
kahan ye os nahin aaftab ki zad mein
zamana aaj bhi hai inqalab ki zad mein
zuhur-e-zawiya-e-qaima se hai sabit
ye kaenat hai ilm-ul-hisab ki zad mein
agarche un ki tasalli mein hai yaqin shamil
dil-e-hazin hai magar iztirab ki zad mein
main apne nala-e-be-iKHtiyar ke qurban
jo naghma ban ke na aaya rabab ki zad mein
wo dasht jis mein ki dahshat hai be-karan 'saib'
wo dasht hai dil-e-wahshat-maab ki zad mein
(506) Peoples Rate This