Hui Hai Umr Ki KHurshid Se Nazar Na Mili
hui hai umr ki KHurshid se nazar na mili
hamare hijr ki shab ko kahin sahar na mili
mili to un se magar fursat-e-nazar na mili
phir us ke baad KHud apni hamein KHabar na mili
tere karam se zamane mein mujh ko kya na mila
nahin mili to bas ek teri rahguzar na mili
khula ye raaz ki na-paedar hai duniya
yahan kisi se koi baat mo'atabar na mili
asir-e-halqa-e-dam-e-KHayal hai ab tak
wo bad-nasib jise tab-e-baal-o-par na mili
KHuda ki zat se kuchh munharif rahe wo log
ki jin ko chashm mili chahsm-e-haq-nigar na mili
kahan kahan tere jalwe na aashkar hue
kahan kahan tere jalwon se ye nazar na mili
har ek raat ki hoti to hai sahar lekin
hamari raat ko arsa hua sahar na mili
KHuda ki shan hai 'saib' sab ek hain lekin
kisi bashar se kahin surat-e-bashar na mili
(552) Peoples Rate This