Faza KHamosh Zamin Dang Aasman Chup Hai
faza KHamosh zamin dang aasman chup hai
zamana chiKH raha hai magar jahan chup hai
TaTolta hun dar-e-taq ajnabi ki tarah
mere makan ke andheron mein shama-dan chup hai
usi se KHatra-e-ifsha-e-raaz hai darpesh
wo aadmi jo hamare hi darmiyan chup hai
bahut sambhal ke guzar zindagi ke lamhon se
na jaane gir paDe kab ret ka makan chup hai
nigah mein koi manzil na koi samt-e-safar
hawa KHamosh hai kashti ka baadban chup hai
tamasha dekh rahe hain tere dayar ke log
main KHud hun mehr-ba-lab meri dastan chup hai
ye kaisa ulTa zamana hai in dinon 'saib'
ki aasman ke zamin sar hai aasman chup hai
(629) Peoples Rate This