Sardi
sardi barish ke baad aati hai
ek shagufa naya khilati hai
din sikuDta hai raat baDhti hai
kohre ki hukmarani hoti hai
is mein shabnam Tapakti hai gul par
is se hota hai KHushk gulshan-e-tar
is mein aata hai barg-e-gul pe shabab
is mein khilte hain har tarah ke gulab
ye dikhati hai jab asar apna
sara mahaul hota hai ThanDa
jab hawa KHub ThanDi chalti hai
jaan aafat mein sab ki aati hai
bachche buDhe jawan mard o zan
sare mahsus karte hain uljhan
jism jab un ka tharaata hai
dant apne har ek bajata hai
ya to kambal mein raat kaTte hain
ya razai mein munh chhupate hain
shab ko chulha gharon mein jalta hai
din mein suraj se chain milta hai
shaal muflar se milti hai rahat
coat sweater se baDhti hai chahat
jab hawa sard sard chalti hai
soch 'sahil' ki nazm banti hai
(1174) Peoples Rate This