Kya Aur Kaun
purane daur mein rahta tha ek kisan aisa
jo baat baat pe sab se sawal karta tha
hasin aur zahin apne donon beTon ke
KHud us ne nam bhi kya aur kaun rakkhe the
baDa tha umr mein kya us se kaun tha chhoTa
sharir donon the aur qad tha donon ka uncha
ye waqia hai ki ek roz apni hajat se
zaif aaya koi un ke bap se milne
kaha ye donon ne is se abhi gae hain kahin
wo lauT aaenge jaldi hamein hai is ka yaqin
agar ho kaam zaruri to baiThiye baba
zaif soch ke kuchh un ke ghar mein baiTh gaya
sawal us ne kiya kya se kya hai nam tera
jawab hans ke diya kya ne kya hai nam mera
kaha zaif ne main sun saka na nam tera
KHuda-ra phir se bata mujh ko tera nam hai kya
to kya ne zor se fauran kaha ki main kya hun
tumhaara beTa hun baba tumhaara beTa hun
zaif sun ke hua mushtail jawab us ka
ruKH apna kaun ki jaanib phir us ne moD liya
kiya sawal ye us se hai bhai kaun tera
kaha ye kaun ne kya mera bhai hai baba
zaif zor se bola ki kya hai nam tera
kaha ye kaun ne main kaun hun mere baba
kiya sawal ye phir us se tera nam hai kya
mere sawal ko kya ab bhi tu nahin samjha
bata tu kaun hai ye sun ke kaun phir bola
main kaun hun ye haqiqat hai ai mere baba
kaha ye kya ne mera nam kya hai ai baba
nahin hai shak koi is mein hai bhai kaun mera
zaif sun ke ye aape se ho gaya bahar
kaha ki sharm ho tum par sharir-o-bad aKHtar
ye kah ke tezi se bahar nikal gaya ghar se
sharir laDke magar khilkhila ke hanste rahe
(838) Peoples Rate This