Garmi
sardi guzri garmi aai
sath mein apne halchal lai
garm hawa har-su chalti hai
suraj se dharti jalti hai
insanon ka haal bura hai
haiwanon mein hashr bapa hai
jhulas rahe hain peD aur paude
pighal rahe hain barf ke tode
sukh gae hain naddi nale
paD gae sab ki jaan ke lale
utra hua hai sab ka chehra
ghar ke bahar lu ka KHatra
DhunD raha hai har ek saya
garmi ne itna garmaya
ThanDa pani lassi sharbat
baDh gai in se sab ki chahat
lemun ka ras aam ka patta
khate hain sab shauq se ganna
pankha tezi se chalta hai
jism magar phir bhi jalta hai
sab ki zaban par pani pani
bhej de maula barkha-rani
(729) Peoples Rate This